Monday, 21 April 2014

Sahir - Is he numero uno of boloywood?


ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo
kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo
ham se agar hai tark-e-ta'alluq to kyaa huaa
yaaro ko_ii to un kii Khbabar puuchhate chalo
jo Khud ko kah rahe hai.n ki ma.nzil shanaas hai.n
un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo
kis ma.nzil-e-muraad kii jaanib ravaa.N hai.n ham
ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chalo

Chakle

ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaa.N zindagii ke
kahaa.N hai.n, kahaa.N hai.n muhaafiz Khudii ke?

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai.n?

ye pur_pe.nch galiyaa.N, ye be_Khaab baazaar
ye gumanaam raahii, ye sikko.n kii jha.nkaar
ye ismat ke saude, ye saudo.n pe takaraar

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ta'affun se pur niim_roshan ye galiyaa.N
ye masalii huii adh_khilii zard kaliyaa.N
ye bikatii huii khokalii rang_raliyaa.N

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

wo ujale dariicho.n me.n paayal kii chhan-chhan
tanaffus kii ulajhan pe tabale kii dhan-dhan
ye be_ruuh kamaro.n me.n khaa.Nsii kii dhan-dhan

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye guu.Nje hue qah-qahe raasto.n par
ye chaaro.n taraf bhii.D sii khi.Dakiyo.n par
ye aawaaze.n khii.nchate hue aa.Nchalo.n par

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye phuulo.n ke gajare, ye piiko.n ke chhii.nTe
ye be_baak nazare.n, ye gustaaKh fiqare
ye dhalake badan aur ye madaquuq chehare

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye bhuukii nigaahe.n hasiino.n kii jaanib
ye ba.Date hue haath siino.n kii jaanib
lapakate hue paa.Nv ziino.n kii jaanib

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

yahaa.n piir bhii aa chuke hai.n jawaa.N bhii
tanuu_mand beTe bhii, abbaa miyaa.N bhii
ye biiwii bhii hai aur bahan bhii hai, maa.N bhii

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

madad chaahatii hai ye hawwaa kii beTii
yashodaa kii ham_jins raadhaa kii beTii
payambar kii ummat zulaiKhaa kii beTii

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

zaraa mulk ke raah_baro.n ko bulaao
ye kuuche ye galiyaa.N ye ma.nzar dikhaao
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq ko laao

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?  

Tuesday, 8 April 2014

Faraz's best

Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

Can it get any better ?

Phir usi rehguzar par shaayad
hum kabhi mil sakein, magar shaayad


Jaan pehchaan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar, shaayad


Muntazir jinke hum rahe unko
mil gaye aur hum-safar shaayad


Jo bhi bichhde hain kab mile hain “Faraz”
phir bhi tu intizaar kar shaayad